Monday, July 27, 2009

Hum Bii Kissi Ka Khwab Thay

Aisay na thay hum eahl-e-dil, itnay kuhan huraab thay
Hum bii kissii kii aass thay, hum bii kissii ka khwab thay

Ab jo huway hain hair sai, randa-e-hulq-e-shehar hum
Chehra-e-shub ka noor thay, sheesha-e-funn kii aabb thay

Dil pay kisii kay nuqsh thay soorat-e-huraf-e-aarzu
Uss kii kitaab-e-zeest main laieq-e-intsaab thay

Aisii thin wo rufaqtain, jaisay hum upnay aap main
Rung-e-shuaa mehar thay, raiza-e-aaftaab thay

Waduo ka eik shehar tha jiss sai guzar ruhay thay hum
Ankhain khulin to door tuk hur suo wohii suraab thay

Dill saa chiragh kia bujaa, ankhain duwan duwan huin
Kehnay ko upnay aas paas kitnay hii mahtaab thay

Sunday, July 26, 2009

Aadat kab badalti hai....

Musafir to bichartay hain
Rufaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai
Mohabbt kab badalti hai
Tumhi ko chahtay hain hum
Tumhi say pyaar kartay hain
Yehi barsoon sayadat hai
AUR
Aadat kab badalti hai....

Teri rehmuton kay diaar main

Teri rehmuton kay diaar main, teray badlon ko puta nhin
Abii aag surd nhin hui, abi ek ulao buja nhin

Meri nurm-e-dil to ujar chuki, mera furz-e-jan to simatt chuka
Sabii ja chukay meray humnashee.n mugar aik shuhas gia nhin

Dar-o-baam sub nai suja liay, sabi roshani main nuha liay
Meri unglian bii jhulas gaiey mugar ek chiragh jula nhin

Gham-e-zindagi teri rah main, shab-e-aarzu teri chah main
Jo ujar gia wo busa nhin, jo bichar gia wo mila nhin

Jo dil-o-nazar ka saroor tha, meray paas reh kay bii door tha
Wohi ek gulaab umeed ka, meri shah-e-jan per khila nhin

Pus-e-karwan, sur-e-rahguzar,main shikista pa hun to iss liay
Kay qadam to sub nai mila liay, mera dil kisi sai mila nhin

Mera humsafar jo ajeeb hai to ajeeb tur hun main aap bii
Mujay munzilu kii khabar nhin, Usay rastun ka puta nhin

Kis ehad ki batain kartay ho

Kis ehad ki batain kartay ho
Kab kon kissi ka hota hay

kab kon kisi ke chahat main
Youn zehar ka sagir peeta hay

Hijar Muhabat mehar -o- wafa
Sab rasmi rasmi batain hain

Har shaksh khudi ki masti main
Bas apni khatir jeeta hay

Aitebar Mat Kerna

Aitebar Mat Kerna
Chand ki udasi ka
Manzilon ki Qurbat ka
Dard ki Judai ka
Bekali ki Furqat ka
Chahton mai Khushion ka
Rasty main Logon ka
Shehar ki Muhabat ka
Pyar k Musafir ka
Hijar k Bahany ka
Aitebar mat kerna
Ansoo'n k behny ka
Umar bhar zmany ka
Aitebar Mat Kerna !!

Faslay aisay bii hu.n gai yai kabi socha na tha

Faslay aisay bii hu.n gai yai kabi socha na tha
Samnay baitha tha meray aur wo mera na tha

Wo kay khusbu kii turha phaila tha meray char su
Mai usay mehsoos ker sukta tha chu sukta na tha

Raat bur phlii sii aahut kaan mai aati ruhi
Jank ker daikha gali mai koi bii aiea na tha

Aaaj uss nai durd bii upnay ulehda ker liay
Aaj mai roiea to meray sath wo roiea na tha

Yai subii warania uss kay juda honay sai thi.n
Ankh dundlaie hui thi shehar dundlaiea na tha
Hum Aksar yeh Samajhtay hain
Ham Jis-sey Mohabbat kertey they..
Usay hum Bhool Baithay hain
Magar Aisa nahin hota
Mohabbat daimi such hai
Mohabbat theheR jaati hai!!!

Hamari baat kay Andar...
Mohabbat baith jaati hai..!
Hamari Zaat kay Andar...
Magar yeh kam Nahin hoti ...

Kisi bhi dukh ki Soorat mein !
Kabhi kissi Zaroorat mein..
Kabhi Anjaan sa gham Bankar..!..
Kabhi lehjay ki thakan Bankar..!..
Udaasi ki zaroorat mein ..
Kabhi Baarish ki Soorat mein ..

Hamari Aankh kay Andar !
Kabhi Aab-e-Rawan Ban-kar !
Kabhi Qatray ki Soorat mein..
Bazahir Aisa hi Lagta hai ..!
Usay hum Bhool Baithay hain ..
Magar Aisa Nahin hota .....
Aisa Har-Giz Nahin hota....
Yeh Harr-Giz kam Nahin hoti...
MOHABBAT THEHER JAATI HAI...!!!

Naakaam hasratoon kay siwa kuch naheen raha

Naakaam hasratoon kay siwa kuch naheen raha
Dunya may aab dukhoon kay siwa kuch naheen raha

Aek umar hogaye hay kay dil ki kitaab main
Kuch khushk patiyoon kay siwa kuch naheen raha

Yaadain kuch istarah say sima-aat pay cha gayeen
Pichlee rifakatoon kay siwa kuch naheen raha

Lub see liyee tu apnay he kamray may yoon laga
Khamoosh aaeenoon kay siwa kuch naheen raha

Jazbay tamaam kho gaye lamhoon ki dhool main
Ubb dil mai dharkanoon kay siwa kuch naheen raha

Lehja thaka thaka sa..

Ankhain Bujhi Bujhi si, Lehja thaka thaka sa…
Phir Zabt kar rahay ho, Koye Gham Naya Naya sa…
Mumki Nahi ye Duniya, Phir bat man jayee..
Kehnay to do jo hak hay, ye Hak to hay Zara sa..
Wo Chand aaj aya hay, phir say Aasman par,..
Yadon ki Chandni main, Tanha Khila Khila sa…
Ab rehem Koun Chahay, iNsaf koun Mangay..!
Har Shakhs Ban raha hay,Apni Jagha khuda sa..
Ye AaRZoo hay keh tum ho, or ChodhWeen ki Shab ho…
Wo Chand bhi to daikhay. Ye Chard DilRuba sa…
Rah-e-wafa ye tum bhi, ab Sath chalke daikho..
Har Sheher, shehr-e-sang or har-kas Guraiz-Pa sa…
isskey Bahao main ab, Behna nahee Gavara..
Wo sab main Reh raha hay, sab say Juda Juda sa..
Jiski Khushi ki Khatir, Daman Chura Liya hay..
Woo-hii Na janay kewn hay, ham say Khafa Khafa sa…
Tum sach hi Keh rahay ho ! Ye Bat Mantay hain..
Par kiaa karayn keh ham ko,Ye Sach Laga Bora sa..
Ittnay Faraib Khaye, Phir bhi Sabak na Seekha…
Bay-shak koye Jahan main, Saada nahe huma sa…

Lafz mil Jatay hain, Mudd’aa Nahi milta

Dil main ho to kuch Kahiyye..Na ho to kia kahiyee..?
Lafz mil Jatay hain, Mudd’aa Nahi milta..

Sab ko aik Hasrat hay Dosray say Milnay ki…
Sab ko aik Shikayat hay, Dosra Nahi Milta…

Kitna Tang karti hayn ye Bhari Puri Sarkain..
ittnay Log Chaltay hain ke, Rusta Nahii Milta..

Uon to Sheher main Teray Dost bhi hain, Dushman bhii…
Aadmi Koye apney Kam ka magar Nahii Milta..